Sunday 1 January 2012



SUROOD-E-BEDAARI

"A SONG OF AWAKENING"





Uth Ai Ghaafil Nau-jawaa.n, Kab Tak Rahega Mast-e-khhwaab
Apni Hasti Se Bapa Kar De Jahaa.n Me Inqelaab


Doosro.n Ke Dar Ka Kyu.n Banta Hai Tu Dar-yuza-gar
Hai Jahaa.n Khhud Dar Pe Tere Tu Hai Wo Izzat-ma'aab


Is Gulistaan-e-jahaa.n Me Tujh Se Baaqi Hai Bahaar
Tu Na Ho, To Ye Chaman Bhi Ho Gariftaar-e-Azaab


Ban Haqueeqat Me Mureed-e-SAHAB-E-MAA-ZAAGH, Tu
Chaschm Par Teri Ho Jis Se Saara Aalam Be-hijaab


Aisa Paida Kar Yaqee.n, Ho Haath Tere DAST-E-HAQUE
Aur Qadmo.n Ko Tere Choo-kar Ke Qulzum Ho Habaab


Khhak Ke Zarro.n Me Teri wo Sharer Mastoor Hai
Kar De Khhakister Jalaa Ke Jo Dahekta Aafta


Ranj-o-Gham Me Bhi Tera Chehra Ho Shaadaa.n Is Tarah
Chaschm-e-Aalam Me Hai Jaise Khharo.n Me Khhanda.n Gulaab


DIL Ke Aaeene Me Apni Soorat-o-seerat Ko Dekh
Ho Eyaa.n Jis Se Wo Naqsh-e-aab Hai, Ye AAB-E-NAAB


Ai KHHUDA TU Is Mobee.n Ke Toote Phoote Lafzo.n Ko
Aisee De Taaseer K'i Ho.n Ek Din FASL-UL-KHHITAAB




Monday 14 November 2011







نعت سرکار دو عالم
صلی اللہ علیہ و آله و أصحابه و بارك وسلم



اسے تو دیکھ لے جس نے مدینے کی گلی دیکھی
وہ در دیکھا, ملک بھی جس پہ کرتے ہیں جبیں سائی

گد ا گر جس کے ذروں کے ہیں مہر و ماہ و زهرة بھی
ہے أعلى اس قدر اس در کے ذرو ں کی ضیا ء باری

ہوں روز حشر میں بھی شاد ، گر روضہ ہرا دیکھوں
کہ ہے جب قول شاہ دو سرا ، وجبت له شفا عتي

جبیں خم جس نے کی اس در پہ ، اس کے در پہ خم عالم
گدائی جس نے کی اس در کی ، اس نے کی شہنشاہی

ہے دل یثرب مرا آقا ، کرم کی اک نظر کر د ے
قدم رکھ دے جو اس میں تو ، مدینہ دل کی ہو بستی

بیاں کیا مرتبہ ہو مصطفیٰ کا ، حق نے قرآں میں
ہے جان پاک و شہر و قول کی ان کے، قسم کھائی

قیامت ہے یقیناً دشمنوں کو ان کے "یوم الفصل "
ہے بہر عاشقان مصطفیٰ روز جزا ، "شادی "

مبیں آسی بھی دیکھے مدّتوں سے ہے یہی حسرت
گلی وہ جس میں خود نور خدا نے کی چہل قدمی




NAAT-E-RASOOL-E-MAQBOOL

SAL'LAL'LAAHU ALAIHI WASALLAM

Use Too Dekh Le Jis Ne MADEENE Ki GALI Dekhi
WO DAR Dekha MALAK Bhi JIS Pe Karte Hain Jabeen-saai

Gadaa-gar JIS Ke ZARRON Ke Hain Mahr-o-Maah-o-Zohra Bhi
Hai Aa'la Is Qadar Us DAR Ke ZARRON Ki ZIYAA-BAARI

Hoon Roz-Hashr Main Bhi Shaad, Gar RAUZA HARA Dekhoon
K’I Hai Jab QAUL-E-SHAAH-E-DO-SARAA, WAJABAT LAHU SHAFAA’TI

Jabeen Khham Jis Ne Ki US DAR Pe, Us Ke DAR Pe Khham Aalam
Gadaai Jis Ne Ki US DAR Ki, Us Ne Ki Shahanshaahi

Hai Dil Yasrib Mera AAQUA, KARAM Ki Ik NAZAR KAR De
QADAM Rakh De Jo Is Me TU, MADEENA Dil Ki Ho Basti

Bayaan Kya MARATBA HO MUSTAFA KA, HAQUE NE QUR’AAN ME
HAI JAAN-E-PAAK-O-SHAHR-O-QAUL KI UN KE QASAM Khaai

"Qeyaamat Hai Yaqeenan dushmanon Ko Un Ke, "YAUM-UL-FASL"
"Hai Bahr-e-Aaashiquaan-e-MUSTAFA ROZ-E-JAZAA, "SHAADI

Mobee.n Aasi Bhee Dekhe Muddaton Se Hai Yahi Hasrat
GALI WO JIS Me Khhud NOOR-E-KHHUDA Ne Ki CHAHAL-QADAMI

SAL'LALLAAHU ALAIHI WA AALIHI WA AS'HAABIHI WA BAARIK MWASALLIM





Sunday 28 August 2011

An Ode





Jis Shai Ki Justjoo Ki Mili Na Kabhi Mujhe,
Ik Bhi Shuaa-e-shaad Dikhi Na Kabhi Mujhe.

Dekha Hai Jab Se Chaschm Me Unki Sarishk Ko,
Be-ashk Koi Aankh Lagi Na Kabhi Mujhe.

Meri Tarah Unhe Bhi Raheen Beqaraariyaan,
Ye Baat Doosri Hai Kahi Na Kabhi Mujhe.

Maqta’ Badal den Ghair Ka Jab Ye Eyaan Huaa,
Phir Unki Koi Baat Jachi Na Kabhi Mujhe.

Jab Se Ye Jaana Pal Me Badalte Hain Wo Rafeeque,
Unse Wafaa Ki Aas Rahi Na Kabhi Mujhe.

Jis Me bhi Hain Pare Mere MAHBOOB Ke QADAM,
Juz Uske Bhaai Koi Gali Na Kabhi Mujhe.

Dil Se Hi Apne Gar-che Kahen Wo Abhi Mobee.n,
Sab Se Kahenge Apna Kabhi Na Kabhi Mujhe.

SHAAN-E-MOMIN



SHAAN-E-MOMIN Me Chaahoon Karoon Kuchh Raquam,
Jiske KHHIRQUE Se Bhi Jhalke Jaah-o-Hasham.


Jiski HASTI Se Hain Ahl-e-Alam Khhuram,
Jiske Sadque Me Paayee Jahaan Ne Ne’am.


Jiski Thokar Se Aa Jaaye Murde Me Dam,
Kalema Imaa se Jiske Sunaa De Sanam.


Misl-e-shabnam Ho Sahn-e-chaman Me Jo Nam,
Qalb-e-sahra-o-dariya Me jis Se Ho Ram.

Shaan-o-karrofar-e-MARD-E-MOMIN Ajab,
Jinn-o-Tahmooras-o-Ins Uske Khhadam.


Kya Bayaan Uske Rukhh Ka Ho Jaah-o-Jalaal,
Uske Qadmon Me Khham Farque-e-Dara-o-Jam.


Durr-e-la’l-o-gohar Us se Chhan Kar Giren,
Guftgoo Ke Liye Apne Khole Jo Fam.


Us Ke Dam Se Kaheen Nestaan Bhi Ho Khhak,
Aur Kaheen Ho Biyaabaan Usi Se Iram.


Hai Wo Ghaw’waas-e-BAHR-E-MAHABBAT Bhee Jab,
Kyun Herasaan Ho Wo Dekh Kar Bahr-e-gham.


LAIS-E-JABBAR-O-SAIF-UL-MUZILL, DAST-E-HAQUE,
Chaschm Par Hai Eyaan Us Ke LAUH-O-QUALAM.


SHAAN-E-MOMIN Me Kya Too Kahega Mobee.n,
BAAL-E-JIBREEL-O-ARSH Uske Zer-e-QADAM.








KALAM-E-A'LA HAZRAT

Waah Kya Jood-o-Karam Hai SHAH-E-BATHA TERA,
Nahin Sunta Hee Nahin Maangne Waala TERA


Dhaare Chalte Hain ATAA Ke Wo Hai DARIYA TERA,
Taare Khilte Hain Sakhha Ke wo Hai ZARRA TERA


FAIZ Hai Ya SHAH-E-TASNEEM Niraala TERA,
AAP Pyaason Ke Tajassus Me Hai DARIYA TERA